What is Colonoscopy in Urdu? – Dr Abdullah Iqbal

Hemorrhoids Khooni and Badi Bawaseer

Iss post mein hum bat krenge “What is colonoscopy in urdu” yani colonoscopy ki hai urdu zaban mein. Colonoscopy aik aisa procedure hai ke jin ki madad se doctors insaan ki badi aanth ya colon ko examine kartay hain. Is doran doctor tissue samples lene ke liye biopsy bhi perform kar sakta hai. Colonoscopy ke zariya bleeding aur cancer jaisy bohat se health problems ki diagnosis aur treatment ki jaa sakti hai. Yeh procedure kabhi kabhi uncomfortable ho sakta hai magar yeh ahmiyat rakhta hai. Yeh guide colonoscopy kya hai, is ko kaise perform kiya jata hai aur procedure se pehle kya steps leni chahiye yeh sab disscuss krega.

What is Colonoscopy in Urdu?

Colonoscopy ek procedure hai jis ki madad se doctor insaan ki colon ya badi annth ke andar ko examine kar sakta hai. Iss procedure me doctor aik long, thin aur flexible tube ko rectum mein insert karta hai jis mein chota camera laga hota hai. Yeh device colonoscope kehlaati hai. Is doran doctor screen par colon ki inside ki images dekh sakta hai aur concern wali jagah bhi inspect kar sakta hai iske ilawa biopsy ke liye tissue ka sample bhi le sakta hai.

Agar kisi ko rectum se bleeding horhi hai to yeh colonoscopy karwana zrori hota hai.. Book your appointment today with Dr. Abdullah Iqbal and get treated for bleeding per rectum.

Colonoscopy Kaise Ki Jati Hai?

Colonoscopy procedure doctor ki rectum mein colonoscope ko insert karne se start hoti hai. Doctor phir colonoscope ko badi intestine ke through slowly guide karta hai. Camera colon ki inside ki images television screen par project karta hai taake doctor dekh sake. Doctor forceps ki madad se biopsy ke sample bhi le sakta hai. Jab doctor colon ke end tak pohanch jata hai toh procedure complete ho jata hai aur colonoscope carefully remove kiya jata hai.

Colonoscopy Ke Liye Taiyari

Colonoscopy ke procedure se pehle, patient ko apni colon ko sahi tarah saaf karne ke liye kuch steps follow karni hoti hain. takay sahi se yh procedure kiya ja sakay. Isko aam tor par “colonoscopy prep” kehte hain. Yeh do tarah se ho sakta hai, ya to special solution ko pee kar ya phir laxative ya wo dawai jo apko motion lagade woh le kar. Dono cases mein goal colon ko khali karna hota hai jis se doctor procedure ke doran shi si inspect kar sake.

Colonoscopy Ke Uses

Colonoscopy colon mein moujoud bimariya ya conditions ko diagnose aur treat karne ke liye istemal hota hai. Yeh bleeding ki jagah ko identify karna, growths yani tumor ko detect karna aur cancer ke signs ko dekhna shumaar hota hai. Iss colonscopy ke zariya doctor biopsy samples bhi le sakta hai is liye procedure kuch conditions ke liye testing ke liye bhi istemal hota hai.

Colonoscopy Ke Complications

Colonoscopy aam tor par safe procedure hota hai magar kuch risks bhi hote hain. Yeh bleeding, infection ya procedure ke doran istemal ki gayi anesthetic medicine yani behoshi ki dawa se adverse reaction ho sakta hain. Bhut kam magar colonoscope se badi aanth ki wall mein tear ho sakta hai. Iskay ilawa yeah bhi zrori hai ke procedure se pehle apne doctor se baat karain taake wo potential complications ke risk ko assess kar sake.

[simple-author-box]
Dr. Abdullah Has Fifteen years of Expertise in the Medical Field With a Particular Focus on Surgery. He is a General Surgeon, an FCPS physician, a Certified MBBS, and a Researcher with Google Scholar. Dr. Abdullah Iqbal, a researcher, Provides Expert Medical Advices.
Dr Abdullah Iqbal
Latest posts by Dr Abdullah Iqbal (see all)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *