Perianal abscess aik pus se bhara hua dana hota hai jo maqad (anus) ke qareeb hota hai. Yeh tab hota hai jab جراثیم anal gland ko infect kar dete hain jo maqad ke andar mojood hotay hain. Agar waqt par Perianal Abscess ka ilaj na kiya jaye, toh yeh complicate hosakta hai aur aik anal fistula ki waja ban sakta hai, jo aik abnormal surakh hota hai jo skin aur maqad ke andar se connected hota hai.
Perianal Abscess Meaning in Urdu
Perianal abscess ka matlab hai “maqad ke ird gird pus bhar jana.” Yeh aik takleef deh bimari hai jo kisi bhi shakhs ko ho sakti hai. Is mein maqad ke qareeb sujan aur dard hota hai.
Perianal Abscess Ki Alamat
Agar aap ke anus ke ird gird infection horha hai aur abscess ban rha hai, toh aap ko yeh alamat nazar aa sakti hain:
- Anus ke ird gird soojan aur surkhi mehsoos hona
- Dard aur حساسیت (sensitivity) ka izafa hona
- بخار (fever) jo halka ya tez ho sakta hai
- Agar abscess phat jaye, toh pehle se mojud soojan se pus aa sakti hai
Perianal Abscess Ki Waja (Causes)
Ye aik bacterial infection ki wajah se hota hai jo maqad mein anal gland ko infect karta hai. Is ki kuch aam wajah yeh hain:
- Anal glands ka band ho jana
- Bar bar قبض (constipation) ya dast (diarrhea) ka hona
- Pehle se mojud ya naya anal fissure ka banna
- Anal area ya pakhanay ke raste mein koi chot ya چوٹ (trauma) ka lagna
- STI ya (جنسی طور پر منتقل ہونے والے انفیکشن) bhi is ka sabab ban sakta hai
- Kamzoor مدافعتی نظام (immune system), jo kisi marz jaise diabetes ya HIV ki wajah se ho sakta hai
Perianal Abscess Aur Bawaseer Ka Farq
Bawaseer aur perianal abscess alag bimariyan hain.
- Bawaseer: Khoon ka moqay hotay hain jo maqad ke andar ya bahar hota hai. Is mein aap ko khoon bhi asakta hai.
- Perianal Abscess: Yeh maqad ke ird gird infection se hone wali sujan hai jisme pus bhar jata hai.
Perianal Abscess Ki Pehchan (Diagnosis)
Yeh ek clinical diagnosis hai jisme doctor sirf dekh kar andaza lagata hai. Jis jagah par sujan aur lal rang ka hisa hoga, wahan par chhune se dard mehsoos hoga. Zaroorat parne par doctor kuch tests bhi kar sakta hai taake yeh dekha jaye ke aapko kis qisam ka abscess hai (ischiorectal, intersphincteric, supralevator ya sirf perianal abscess) hai.
Perianal Abscess Ka Ilaj (Treatment Options)
Perianal Abscess Drainage Method
Iska asal ilaj yeah hai ke apki pus ko drain kiya jai jiska tareeqa yeh hai.
- Abscess ke upar aik chhota incision ya cut diya jata hai jisse cruciate incision kehte hain
- Pus ko drain kar ke sujan aur dard ko kam kiya jata hai
- Abscess cavity ko sterile gauze aur pyodine se pack kiya jata hai
Istrha se surgery mein zakhm ka bharna 6 se 8 haftay tak lag sakta hai, magar yeah operation ke doran findings pe zyada munehsar hai aur abscess ki gehraai aur size par depend karta hai.
Perianal Abscess Surgery
Dr. Abdullah perianal abscess ka laser se ilaj karte hain jisme:
- Bina kisi barey cut ke surgery hoti hai
- Dressing ki zaroorat nahi hoti
- Aur Pain aur recurrence ke chances kam ho jate hain
Antibiotics Se Ilaj
Agar abscess chhota ho to antibiotics se ilaj mumkin hai, magar bara ya baar baar anay wala abscess sirf operation se theek hota hai. Sirf antibiotics ka istemal abscess ko aur bigar sakta hai aur fistula bhi bana sakta hai.
Perianal Abscess Surgery ka Kharcha Karachi mein
Perianal abscess surgery ka Karachi mein kharch mukhtalif asraat par mabni ho sakta hai, jo neeche bayan kiye gaye hain. Magar ehtiyaat zaroori hai—kam lagat ka matlab behtareen natayij nahi hota, aur yeh kisi aur infecshion ka sabab ban sakta hai. Yeh aapko shadeed dard, ya phir dobara surgery ki zaroorat par majboor kar sakta hai. Sab se buri surat mein, sphincter (jo stool control karta hai) ko mustaqil nuqsan bhi ho sakta hai. Hamesha kisi tajurba-yafta doctor ka intikhab karein, sirf sasti treatment ki wajah se faisla na karein—ek ghalat faisla aapko sirf paison ka nahi, balki sehat ka bhi nuksan pohncha sakta hai.
Surgery ke kharche ko mutasir karne wale chand aham asbaab ye hain.
- Aap kis qisam ke hospital ka intekhab karte hain.
- Aapke doctor ka tajurba.
- Abscess ki pechida suratehaal aur hospital mein rehne ki zaroorat.
- Kya aapko kisi mazeed procedure (jaise ke anal fistula treatment) ki zaroorat hai.
- Conventional surgery (bari chhed aur dair tak zakhm ka bharna) ya laser surgery (chhota chhed aur tez recovery) ka intikhab.
Aam tor par, perianal abscess ki laser surgery ka kharcha takreeban 75,000 se 200,000 PKR tak ho sakta hai.
Perianal Abscess Surgery Ke Baad Recovery
Agar open ya conventional surgery hui ho to zakhm bharne mein takreeban 6 se 8 hafte lag sakte hain. Magar laser surgery ki surat mein recovery tez hoti hai, mukammal hoti hai, aur fistula jese complications ya dobara hone ke chances bhi kam hote hain.
Jaldi aur behtareen sehat yabi ke liye chand aham tips ye hain:
- Safai ka khayal rakhein—ek sterile gauze aur pyodine ka istemal karein.
- Sitz bath lein—garam aur sterile pani mein 5 se 15 minute tak bethain.
- Behtareen ghiza ka intekhab karein – high-fiber khana khayen aur kam az kam 6 hafte tak spicy, oily aur fast food se parheiz karein.
- Qabz aur zyada zor lagane se bachen.
- Commode ka istemal karein, Indian style washroom use na karein. Zameen par na baithein aur seedhiyon ka istemal bhi na karein.
Perianal Abscess Dobara Hona
Agar achi dekhbhal na ki jaye to yeh bimari dobara bhi ho sakti hai. Is se bachne ke liye:
- Achhi safai ka khayal rakhain
- Zyada dair tak ganda ya geela kapra na pehnen
- Bawaseer ya fistula ka bar waqt ilaj karain
- Fiber wali ghiza khayen aur pani zyada peeyen
Karachi Mein Behtareen Perianal Abscess Specialist Ka Intikhab
Agar aapko ya kisi aur ko perianal abscess ka ilaj chahiye, to ek expert ka intikhab zaroori hai.
Karachi Ke Behtareen Perianal Abscess Specialist
Dr. Abdullah Iqbal Karachi ke mashhoor proctologist hain jo 1000 se zyada patients ka kamyabi se ilaj kar chuke hain. Unka ilaj pain-free hota hai aur recurrence ke chances kam hote hain.
Karachi Ke Top Proctologist
Dr. Abdullah Pakistan ke pehle laser proctologist hain jo laser proctology ko introduce kar chuke hain.
Karachi Mein Behtareen Colorectal Surgeon
Agar aapko surgery ki zaroorat ho to colorectal surgeon ki madad lein jo maqad aur rectum ki surgeries mein mahir hota hai.
Perianal Abscess Ka Desi Ilaj
Kuch log desi ilaj ko pasand karte hain, jaise:
- Ajwain Ka Pani: Ajwain ke pani se infection kam ho sakta hai.
- Methi Dana: Methi dana paani mein bhigo kar peena madadgar ho sakta hai.
- Hing Ka Paste: Hing ko paani ya mustard oil mein mix kar ke lagane se sujan kam hoti hai.
Anorectal Abscess Meaning In Urdu
Anorectal abscess ka matlab “maqad aur rectum ke darmiyan pus ka bhar jana” hota hai. Yeh bhi perianal abscess ki tarah dard aur takleef wala hota hai.Agar aapko surgery ki zaroorat ho to colorectal surgeon ki madad lein jo maqad aur rectum ki surgeries mein mahir hota hai
Nateeja (Conclusion)
Perianal abscess takleefdeh hota hai magar ilaj mumkin hai. Agar maqad ke ird gird sujan, lal rang ya dard mehsoos ho to foran doctor se rabta karein. Karachi mein Dr. Abdullah Iqbal ek tajurba kaar specialist hain jo pain-free aur minimally invasive treatment faraham karte hain.
- Seizure Meaning in Urdu | دورہ اور مرگی کا آسان مطلب - March 28, 2025
- Genital Warts Treatment in Karachi: Best Doctor & Options - March 28, 2025
- Anal Fissure Laser Treatment – A Fast & Painless Solution! - March 28, 2025