Pilonidal Sinus In Urdu – Dr. AbdullahIqbal

Pilonidal Sinus In Urdu

Pilonidal sinus in Urdu, jisey Pilonidal ki bimari bhi kaha jata hai, yeah buttocks kay area ki jild mein bannay wali bemari hai. Is marz ki wajah yeh hai kay is par friction hoti hai jis ke bais iss jaga pe mareez ko problem hoskti hai. Mazeed bat karain tau yeh infected ya non-infected ho sakta hai.

Table of Contents

Infected Pilonidal Sinus

Infected pilonidal sinus bacteria kay infection se hota hai jis ki wajah se affected area main hair follicle sweat gland main ghus jata hai. Phir infection isay phailatay hain aur buttocks kay qareeb chhoti si cyst type ka swelling ban jati hai. Yeh cyst main pus hota hai aur kabhi kabhi hair follicles bhi. Yeh infected pilonidal sinus  pilonidal abscess bhi kehlata hai.

pilonidal sinus

Non-Infected Pilonidal Sinus

Non-infected pilonidal sinus blocked ya inflamed hair follicle ya sweat gland ki wajah se hota hai jo affected area main hota hai. Is se buttocks kay qareeb choti si cyst ki gilti ban jati hai jis mein pus mojod nhi hoti.

Pilonidal Sinus kay Symptoms

Pilonidal Sinus ki sab se aam alamat aik choti si cyst ya lump tailbone kay qareeb hona hai jo touch par sensitive ya dard kar sakti hai. Kuch cases main yeh cyst pus ya khoon se bhari ho sakti hai aur is me se kharab smell aa sakti hai. Iskay ilawa dosray symptoms jo iskay sath hosktay hain unmein redness, swelling, oozing, itching aur drainage shamil hain.

pilonidal sinus symptoms

Doctor Se Kab Rabta kiya jai

Agar aapko yeh symptoms main se koi ek hai yani apko tailbone me dard hai ya apko tail bone ke pas se pani ya pus araha hai toh doctor se jald se jald milna zaroori hai. Aap kay doctor aap kay marz ko theek se diagnose karen gay aur treatment ke liye sab se acha rasta bataen gay.

Kiya hamara yeah article “Pilonidal sinus in Urdu” parh ke apko lagta hai ke apko Pilonidal Sinus ki takleef hai?

Book your appointment either online or visit our clinic today to consult with Dr. Abdullah Iqbal.

Diagnosis aur Investigations

Aap kay doctor mumkin hai ke aap ka physical examination karen aur

aap kay symptoms ke barey main poochhen takay apki behtr tashkhees ki jaskay aur iss maqsad ke liye apka doctor apko X-ray, MRI ya CT scan order bhi kar sakte hain jis se affected area ki detailed view milay. Mazeed yeah kay pilonidal sinus in urdu ki bat karain tau hum ziada tar aik test jisse sinogam kaha jata hai woh bhi krwatay hain.

Pilonidal Sinus ka Ilaj

Pilonidal sinus kay treatment ki type condition ki severity aur individual par depend karti hai.

Medications

Aap kay doctor infected pilonidal sinus kay liye antibiotics prescribe kar sakte hain ya swelling decrease karnay wali adwiat aur dard kam karnay wali adwiat aur healing process ko tez karnay wali adwait prescribe kar saktay hain.

Incision aur Drainage

Agar apki cyst mein pus hai tau doctor iss cyst se pus ko drain kar sakte hain. Yeh procedure clinic ya hospital main kiya ja sakta hai. Aur yeah kiya jai ya na kiya jai yeah infection ki severity par depend karta hai.

Wide Excision

Iss maslay ki jo asal surgery hai usme doctor wide excision recommend kar sakte hain jis main cyst aur us kay qareebi tissue ko remove kiya jata hai. Yeh procedure spinal anesthesia kay sath hota hai aur iss mein mareez ko admit kiya jata hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *