Cancer Ki Gilti Ki Alamat

5 Cancer Ki Gilti Ki Alamat – Dr. AbdullahIqbal

Iss article mein hum cancer ki gilti ki alamat khas tor pe 5 common alamat ki bat karainge. Lafz Cancer ek bimariyon ke group ke liye use hota hai jiska matlab hai ke jism mein abnormal cells ke uncontrolled growth jo aik jagah se dosri jagah spread hoskte hain. Cancer kai iqsam ke hote hai lekin cancer ki gilti ki alamat sabhi cancers mein ek jaise he hota hai ki wo ek lump banate hai. Jism me bane huay zyada tar lumps ko benign aur cancerous mein divide kiya ja sakta hai, jismein benign koi nuksaan nahi karte aur cancerous cancer cells ko dusre organs mein spread kar sakte hai aur khatarnak hotay hain.

Unfortunately, donun trh ke yani benign aur cancerous lumps ek jaisi dikhai dete hai aur yeah cancerous hain ya benign yeh nahi pata chalta. Isi liye agar apke jism me koi bhi gilti hai tau apkay liye janna zrori hai woh 5 alamat jo cancer ki gilti ki alamat ho sakti hain.

 

Cancer Ki Gilti Ki Alamat

Cancer kya hai?

Cancer ek broad term hai jo 200 se zyada different diseases ko describe karta hai jo abnormal cells ke uncontrolled growth aur spread ke bais hote hai. Yeh abnormal cells tumours ban sakte hai jo ya tau benign (non-cancerous) ho sakta hai ya cancerous (malignant) ho sakte hai. Kuch cases mein cancer dusre body parts mein spread ho sakta hai aur long term, life-threatening effects cause kar sakta hai. Cancer ki alag alag qism alag alag body parts par affect krti hai aur uske unique symptoms ya alamat hotay hain jinse aware rehna zaruri hai.

 

 

Benign vs. Cancerous Lumps ko differentiate karna

Dr. Abdullah Iqbal, an experienced and highly regarded specialist in piles (known as bawaseer in some regions) and hemorrhoids, plays a pivotal role in helping individuals find relief from these often painful and distressing conditions.

Ek person ko cancer hai yeh pata lagane ka pehla sign hai ki ek lump ban jata hai yani gilti ban jati hai. Lumps ki shape aur size mein variation hoti hai aur yh lump kahin bhi body par ho sakta hai. Lumps ko dekh kar decide karna ke wo benign hai ya cancerous hai difficult hai lekin kuch alamat hain jo cancerous lump ke liye makhsoos hain. Sabse zyada cases mein cancerous lump hard hota hai aur uske surrounding skin mein changes aate hai. Wo painless bhi ho sakta hai aur stage zyada hotau painful bhi ho sakta hai.

 

Cancer Ki Gilti Ki Alamat

  • Hard (Sakht) Gilti

Cancerous lump ka ek main sign hai ki wo hard hoga aur uske surrounding tissues bhi qadray sakht hongay. Yeh khsosiat isko benign lumps se alag karti hai jin mein softness hoti hai yani ke woh naram hotay hain.

  • Associated Skin Changes

Cancer ki gilti ki alamat mein ek eham alamat hai ki cancer iske surrounding skin mein changes ka bais banta hai. Yeh changes jis qism ki hoti hain unme discoloration (yani jild ke rang ka badalna), dimpling (jild pe khaday sa banna) aur texture mein change ana shamil hain.

  • Painless Lump

Cancerous lump ka ek noticeable sign hai ki wo apne size ke bawajood painless reh sakta hai. Yeh isliye hai kyunki wo surrounding skin ke tissue mein infiltrate ho chuka hai aur pain sense karna wali nasun ko damage kar chuka hai jiskay bais dard mehsoos hona difficult ho jata hai.

  • Still Confused

Book your appointment either online or visit our clinic today to consult with Dr. Abdullah Iqbal.

  • Metastasis

Cancer ki gilti ki alamat mein aik dangerous alamat hai ke wo dusre organs mein penetrate ho sakte hai aur cancer spread kar sakte hai. Metastasis cancer cells ko blood mein carry kar ke dusre body parts mein spread karke uske area mein growth of cancer cause karta hai.

 

Unexplained Weight Loss

Unexplained weight loss cancer ke ek common side effect hai, chahe lump itself koi pain na kar raha ho magar weightloss hona bhut common hai. Cancer normal cells ke energy aur nutrients ko high amounts mein utilise kar sakte hai jisse body mass gradually decrease hota hai aur mareez kamzor hota jata hai.

 

Strong Family History

Agar kisi ki family me cancer ki history hai aur is ke saath kisi ko lump hai tau yeah lump ko cancerous lumps hone ke chances zyada hote hai. Isliye, personal aur family history ko zahan me rakhna important hai ki kisi potential cancerous lumps ko identify kiya ja sake.

 

Conclusion

In conclusion, cancerous lump ke signs se aware rahna important hai. Lumps ko diagnose karne ke liye medical professional se malomat lena zaroori hai aur iskay zyada baray honay se pehle agar mareez koshish kare tau taskhees ki jati hai.

[simple-author-box]
Dr. Abdullah Has Fifteen years of Expertise in the Medical Field With a Particular Focus on Surgery. He is a General Surgeon, an FCPS physician, a Certified MBBS, and a Researcher with Google Scholar. Dr. Abdullah Iqbal, a researcher, Provides Expert Medical Advices.
Dr Abdullah Iqbal

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *