5 Pitte Ki Pathri Ki Alamat (پتے کی پتھری کی علامات)

Pitte Ki Pathri Ki Alamat

Gallstones jigar kay sath mojod woh deposits hain jo aap ki Pitte mein ban saktay hain aur Pitte kay dard ki alamat ka bais ban skte hain. Pitte ki bat karain tu aap ka pita choti, angoor ki shakal ka ek organ hai jo aap kay liver kay neechay right side mein mojod hota hai. Jigar mein bannay wala ek fluid hota hai jis ka naam bile hota hai jo aap ke pity me jama hota hai aur choti aanth me jata hai. Gallstones chotay chotay zarat se lekar golf ball ki shakal tak ka hoskta hai. Kuch log mein sirf aik he gallstone hota hai, jabkay doosray logon mein kai gallstones ho jatay hain. Gallstones ki wajah se takleef ka saamna karnay walay logon ko gallbladder ki surgery ki zaroorat hoti hai. Iske bar-aks woh Gallstones jo kisi tarah ki alamaat ya takleef ka bais nahi bantay unko ilaj ki zaroorat nahi hoti.”

 

Pitte kay dard ki alamat (پتے کی پتھری کی علامات)

پتے کی پتھری کی علامات main ye mumkin hai kay mareez ko koi takleef na ho jabkay ya bhi mumkin hai kay mareez ko alamat mojod hoon. Iskay ilawa, agar Pitte ki pathri pitay ki aik khas duct mein jama ho jaye jisse common bile duct kehte hain aur yeah stone is duct me blockage ka sabab banay to mareez ki alamat aur takleef bigar sakti hai

Pity me dard ki alamat ki bat karain tau woh alamat jo pity me sojan ke bais hoti hain un mein:

– Apkay right shoulder mein dard ka hona

– Qay ya vomiting ka hona

– Achanak se tez uthne wala dard jo pet kay dain janib ooper ke hisse mein ho

– Iskay ilawa yeah dard achanak aur tez pet ke center mein, breastbone kay neechay bhi hoskta hai

– Pasliyon kay neechay uthnay wala dard jo kamar ke hisse me jai.

Pitte me dard ki alamat aur takleef kuch minutes se lekar kai ghantay tak ho sakti hai jbkay yeah amooman shadeed hoti hai jiskay bais apko hospital mein admit hona par skta hai.

Iskay ilawa doosri soorat me yeah Pitte kay dard ki alamat jab Pitte ki pathri nikal ke pity ki nali me ajain tau tabdeel hoskti hain aur mareez ko iss ke bais jaundice ya yarqan ki shikayat hoskti hai.

 

Doctor kay pas kab jain?

Agar aap ko pet ke dain janib pasliyon ke neche dard hai ya agar aap ko gallstone ki serious complication kay alamat hain jaisay:

– Pet ki takleef itni ziada ho kay aap bait na sak rhe hu ya kisi comfortable position me nahi a sak rhe hu.

– Chehray aur ankhon kay safaid pan ka rang pila ho jai (jaundice) yani apko piliya ho jai.

– Bukhaar ya fever ho jai jo sardi kay sath aur kapkapi kay sath ho

– Iskay ilawa koi aur alamat ya takleef jo aap ko pareshan kar rhi hai to aap ko doctor kay pas jana chahiye.

 

Are You Suffering From Gallstones?

Book your appointment either online or visit our clinic today to consult with Dr. Abdullah Iqbal.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *